Über Shirdi Sai Baba ke Anmol Sandhesh
Is pustak mein Sai Baba ki shikshaon aur leelaon ka varnan kavitaon aur sandeshon ke zariye kiya gaya hai, jo har kisi ko sahi raah par chaine ke liye prerit karengi. Is pustak se aaj ki yuvaon ko marg darshan milega." Mahant Swami Mohandasji 'Nandini Dhanani par Baba ki aseem kripa hai ki Baba ne svayam unhein apni leelaon avam shikshaon ko likhne tatha asankhya logon tak unka yah anmol khazana pahuchane ka vishudh saadhan banaya hai, jiske dwara ab tak kayi hazaron log laabinvith hue hain, tatha bhavishya mein bhi hote rahenge." Di Jaan Jaya Wahi Shirdi Sai Baba Ke Anmol Sandesh, 'Sai Baba ke dwara likhwayi gayi, Nandini Dhanani ki doosri pustak hai. Unke Guru Baba Hiral Shah aur Shirdi Sai Baba ke likhwane par wah yeh pustak likh paaee hain. Is pustak se purva Nandini Dhanani angrezi mein, Healing with Shirdi Sai Baba' ko issi tarah likh chukee hain. Yeh kitaab aaj bhi Sai bhakton ko prerit aur prabhavit kar rahi hai. Shirdi Sai Baba Ke Anmol Sandesh, mein Baba ne apne bhakton ke liye 108 anmol gyaan bhare sandesh diye hain. Is kitaab se bhakton ko apne prashno ke uttar milenge. Baba ne bhakton ke liye anmol shiksha bhi dee hai, jispar chalkar manushya apna bhavishya ujjwal kar sakta hai; apni aatma ko jagrit kar apna jeevan sanvaar sakta hai aur apni mushkilon ka hal paa sakta hai Is kitaab mein Mahant Swami Mohandasji ka gyan aur prem bhara sandesh bhi hai. Di Jaan Jaya Wahi dwaara likhi gayee prastavana hai jiske dwara bhakt Shirdi Sai Baba ke aashirwad ko mehsoos kar sakenge
Mehr anzeigen